kya jaane kya socha hoga
kyā jaane kyā sochā hogā
jo bhī sochā achchhā hogā
dil ko apne hāthoñ kho kar
tanhā.ī meñ rotā hogā
duniyā se ho kar begāna
apne raste chaltā hogā
us ke bhole-bhāle dil ko
har ik apnā lagtā hogā
dhoke-bāzoñ kī nagrī meñ
us ne kis ko parkhā hogā
dil rakhnā aatā hai us ko
sab se hañs kar miltā hogā
'rāg' na bad-zan honā us se
ham-sāya hai achchhā hogā
kya jaane kya socha hoga
jo bhi socha achchha hoga
dil ko apne hathon kho kar
tanhai mein rota hoga
duniya se ho kar begana
apne raste chalta hoga
us ke bhole-bhaale dil ko
har ek apna lagta hoga
dhoke-bazon ki nagri mein
us ne kis ko parkha hoga
dil rakhna aata hai us ko
sab se hans kar milta hoga
'rag' na bad-zan hona us se
ham-saya hai achchha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.