kya jaane ye chalti goli
kyā jaane ye chaltī golī
ḳhālī kar ga.ī kis kī jholī
nagar nagar bārūd kā dhūāñ
bastī bastī ḳhuun key holī
bijlī ne hans kar batlāyā
Dartī hai bādal se bholī
mīThe mīThe us ke naġhme
mīThī mīThī merī bolī
phuul samajh kar har patthar ko
maiñ ne bhar lī apnī jholī
sahrāoñ meñ chhupnā chāhe
ḳhauf-zada hirnoñ kī Tolī
mere sheroñ meñ shīrīnī
kyā jaane hai kis ne gholī
duur rahā to rāheñ dekheñ
paas aayā to aañkh na kholī
hai ayyār zamāna 'farruḳh'
terī bāteñ bholī bholī
kya jaane ye chalti goli
KHali kar gai kis ki jholi
nagar nagar barud ka dhuan
basti basti KHun key holi
bijli ne hans kar batlaya
Darti hai baadal se bholi
miThe miThe us ke naghme
miThi miThi meri boli
phul samajh kar har patthar ko
main ne bhar li apni jholi
sahraon mein chhupna chahe
KHauf-zada hirnon ki Toli
mere sheron mein shirini
kya jaane hai kis ne gholi
dur raha to rahen dekhen
pas aaya to aankh na kholi
hai ayyar zamana 'farruKH'
teri baaten bholi bholi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.