kya jaanen teri ummat kis haal ko pahunchegi
kyā jāneñ tirī ummat kis haal ko pahuñchegī
baḌhtī chalī jaatī hai ta.adād imāmoñ kī
har gosha-e-maġhrib meñ har ḳhitta-e-mashriq meñ
tashrīh digar-gūñ hai ab tere payāmoñ kī
vo log jinheñ kal tak da.avā thā rifāqat kā
tazlīl pe utre haiñ apnoñ hī ke nāmoñ kī
bigḌe hue tevar haiñ nau-umr siyāsat ke
biphrī huī sāñseñ haiñ nau-mashq nizāmoñ kī
tabqoñ se nikal kar ham firqoñ meñ na baT jaa.eñ
ban kar na bigaḌ jaa.e taqdīr ġhulāmoñ kī
kya jaanen teri ummat kis haal ko pahunchegi
baDhti chali jati hai tadad imamon ki
har gosha-e-maghrib mein har KHitta-e-mashriq mein
tashrih digar-gun hai ab tere payamon ki
wo log jinhen kal tak dawa tha rifaqat ka
tazlil pe utre hain apnon hi ke namon ki
bigDe hue tewar hain nau-umr siyasat ke
biphri hui sansen hain nau-mashq nizamon ki
tabqon se nikal kar hum firqon mein na baT jaen
ban kar na bigaD jae taqdir ghulamon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.