kya kahega samaj mat puchho
kyā kahegā samāj mat pūchho
mirā mujh se mizāj mat pūchho
aaj kyā hogā sochnā hai ye
kal kī bātoñ ko aaj mat pūchho
hādisa dil pe kaun sā guzrā
kyoñ huā iḳhtilāj mat pūchho
mere dushman to pūchh sakte haiñ
dosto tum mizāj mat pūchho
kyā batānā tumheñ zarūrī hai
kis kā dil pe hai raaj mat pūchho
hañs ke kahnā kisī kā ai 'māhir'
ham se ġham kā ilaaj mat pūchho
kya kahega samaj mat puchho
mera mujh se mizaj mat puchho
aaj kya hoga sochna hai ye
kal ki baaton ko aaj mat puchho
hadisa dil pe kaun sa guzra
kyon hua iKHtilaj mat puchho
mere dushman to puchh sakte hain
dosto tum mizaj mat puchho
kya batana tumhein zaruri hai
kis ka dil pe hai raj mat puchho
hans ke kahna kisi ka ai 'mahir'
hum se gham ka ilaj mat puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.