kya kahen tujhse ki kis kis ke karam hain hum hain
kyā kaheñ tujh se ki kis kis ke karam haiñ ham haiñ
kuchh tire kuchh tirī duniyā ke sitam haiñ ham haiñ
tū ne pūchhā hai to ahvāl batā dete haiñ
bas tirī yaad hai aur āḳhirī-dam haiñ ham haiñ
haa.e kyā jaan ke darvāza na kholā us ne
ham pukārā hī kiye yaar ye ham haiñ ham haiñ
kaise kaise vo kiyā kartā hai va.ade ham se
sub.h se shaam talak us ke bharam haiñ ham haiñ
sāqiyā ham se bhī derīna marāsim haiñ tire
ye jo mahrūm-e-qadah ġharq-e-alam haiñ ham haiñ
tū hī shīrāza-e-jāñ hai tū hī shīrāza-e-dil
jab talak ham pe tire jaur-o-sitam haiñ ham haiñ
jin ko majnūñ bhī kiyā kartā hai jhuk kar ādāb
garche is tarah ke āshiq baḌe kam haiñ ham haiñ
ye hamārā hai kisī aur kā lāsha to nahīñ
kis liye aañkh ke goshe tire nam haiñ ham haiñ
sāqiyā hifz-e-marātib kā zarā dhyān rahe
aisā lagtā hai ki me.aar se kam haiñ ham haiñ
ġhair ke dam se hai raunaq bhī charāġhāñ bhī 'vasī'
terī mahfil meñ agar sabz-qadam haiñ ham haiñ
kya kahen tujh se ki kis kis ke karam hain hum hain
kuchh tere kuchh teri duniya ke sitam hain hum hain
tu ne puchha hai to ahwal bata dete hain
bas teri yaad hai aur aaKHiri-dam hain hum hain
hae kya jaan ke darwaza na khola us ne
hum pukara hi kiye yar ye hum hain hum hain
kaise kaise wo kiya karta hai wade hum se
subh se sham talak us ke bharam hain hum hain
saqiya hum se bhi derina marasim hain tere
ye jo mahrum-e-qadah gharq-e-alam hain hum hain
tu hi shiraaza-e-jaan hai tu hi shiraaza-e-dil
jab talak hum pe tere jaur-o-sitam hain hum hain
jin ko majnun bhi kiya karta hai jhuk kar aadab
garche is tarah ke aashiq baDe kam hain hum hain
ye hamara hai kisi aur ka lasha to nahin
kis liye aankh ke goshe tere nam hain hum hain
saqiya hifz-e-maraatib ka zara dhyan rahe
aisa lagta hai ki mear se kam hain hum hain
ghair ke dam se hai raunaq bhi charaghan bhi 'wasi'
teri mahfil mein agar sabz-qadam hain hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.