kya kahen tum se shab-e-gham hum pe kya kya ho gaya
kya kahen tum se shab-e-gham hum pe kya kya ho gaya
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
kyā kaheñ tum se shab-e-ġham ham pe kyā kyā ho gayā
dil pighal kar bah gayā paanī kalejā ho gayā
zikr-e-chashm-e-mast se merā ḳharāba ho gayā
mai-kade tak bhī nahīñ pahuñchā ki rusvā ho gayā
mūjib-e-ḳhiffat hai 'ālam meñ tajarrud-peshgī
maiñ subuk-sār-e-mohabbat ho ke halkā ho gayā
jalva-e-ahl-e-safā hai tīra-baḳhtoñ par vabāl
din jahāñ niklā ki murġh-e-shappar andhā ho gayā
'arsh-e-ā'zam par rahe kyūñkar na majnūñ kā dimāġh
lailat-ul-me.arāj rañg-e-zulf-e-lailā ho gayā
ḳhvāb meñ bhī hai tasavvur shoḳh-chashmoñ kā hameñ
bistar-e-ārām apnā mirg-chhālā ho gayā
in parī-zādoñ ke kūche meñ tamāshe kī hai baat
jo tamāsha dekhne aayā tamāsha ho gayā
kya kahen tum se shab-e-gham hum pe kya kya ho gaya
dil pighal kar bah gaya pani kaleja ho gaya
zikr-e-chashm-e-mast se mera KHaraba ho gaya
mai-kade tak bhi nahin pahuncha ki ruswa ho gaya
mujib-e-KHiffat hai 'alam mein tajarrud-peshgi
main subuk-sar-e-mohabbat ho ke halka ho gaya
jalwa-e-ahl-e-safa hai tira-baKHton par wabaal
din jahan nikla ki murgh-e-shappar andha ho gaya
'arsh-e-a'zam par rahe kyunkar na majnun ka dimagh
lailat-ul-mearaj rang-e-zulf-e-laila ho gaya
KHwab mein bhi hai tasawwur shoKH-chashmon ka hamein
bistar-e-aram apna mirg-chhaala ho gaya
in pari-zadon ke kuche mein tamashe ki hai baat
jo tamasha dekhne aaya tamasha ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.