kya kahin kya ye jahan-e-guzaran lagta hai
kyā kahīñ kyā ye jahān-e-guzarāñ lagtā hai
gul kā hañsnā bhī tabī.at pe garāñ lagtā hai
is jahāñ se bhī to ik roz nikalnā hogā
ye jahāñ bhī to kirā.e kā makāñ lagtā hai
ashk-e-ġham aañkh meñ aa jaate haiñ rokeñ kaise
aag jaltī hai to āñkhoñ meñ dhuāñ lagtā hai
jaane kyā merī samā.at ko huā hai 'fāḳhir'
naġhma-e-aish bhī suniye to fuġhāñ lagtā hai
kya kahin kya ye jahan-e-guzaran lagta hai
gul ka hansna bhi tabiat pe garan lagta hai
is jahan se bhi to ek roz nikalna hoga
ye jahan bhi to kirae ka makan lagta hai
ashk-e-gham aankh mein aa jate hain roken kaise
aag jalti hai to aankhon mein dhuan lagta hai
jaane kya meri samaat ko hua hai 'faKHir'
naghma-e-aish bhi suniye to fughan lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.