kya kahiye kya rakkhen hain hum tujhse yar KHwahish
kyā kahiye kyā rakkheñ haiñ ham tujh se yaar ḳhvāhish
yak jaan o sad tamannā yak dil hazār ḳhvāhish
le haath meñ qafas Tuk sayyād chal chaman tak
muddat se hai hameñ bhī sair-e-bahār ḳhvāhish
ne kuchh gunah hai dil kā ne jurm-e-chashm is meñ
rakhtī hai ham ko itnā be-iḳhtiyār ḳhvāhish
hālāñki 'umr saarī māyūs guzrī tis par
kyā kyā rakheñ haiñ us ke ummīd-vār ḳhvāhish
ġhairat se dostī kī kis kis se hoje dushman
rakhtā hai yaarī hī kī saarā dayār ḳhvāhish
ham mehr o raz kyuuñ kar ḳhālī hoñ aarzū se
sheva yahī tamannā fan o shi'ār ḳhvāhish
uThtī hai mauj har yak āġhosh hī kī sūrat
dariyā ko hai ye kis kā bos o kanār ḳhvāhish
sad rang jalva-gar hai har jaada ġhairat gul
'āshiq kī ek paave kyuuñ kar qarār ḳhvāhish
yak baar bar na aa.e us se umiid dil kī
iz.hār karte kab tak yuuñ baar baar ḳhvāhish
karte haiñ sab tamannā par 'mīr' jī na itnī
rakkhegī maar tum ko pāyān-e-kār ḳhvāhish
kya kahiye kya rakkhen hain hum tujh se yar KHwahish
yak jaan o sad tamanna yak dil hazar KHwahish
le hath mein qafas Tuk sayyaad chal chaman tak
muddat se hai hamein bhi sair-e-bahaar KHwahish
ne kuchh gunah hai dil ka ne jurm-e-chashm is mein
rakhti hai hum ko itna be-iKHtiyar KHwahish
haalanki 'umr sari mayus guzri tis par
kya kya rakhen hain us ke ummid-war KHwahish
ghairat se dosti ki kis kis se hoje dushman
rakhta hai yari hi ki sara dayar KHwahish
hum mehr o raz kyun kar KHali hon aarzu se
shewa yahi tamanna fan o shi'ar KHwahish
uThti hai mauj har yak aaghosh hi ki surat
dariya ko hai ye kis ka bos o kanar KHwahish
sad rang jalwa-gar hai har jada ghairat gul
'ashiq ki ek pawe kyun kar qarar KHwahish
yak bar bar na aae us se umid dil ki
izhaar karte kab tak yun bar bar KHwahish
karte hain sab tamanna par 'mir' ji na itni
rakkhegi mar tum ko payan-e-kar KHwahish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.