kya kahun kab dhuan nahin uThta
kyā kahūñ kab dhuāñ nahīñ uThtā
mujh se apnā ziyāñ nahīñ uThtā
bhīñchte rahte haiñ dar-o-dīvār
aur dil se makāñ nahīñ uThtā
aabrū thaam thaam letī hai
haath varna kahāñ nahīñ uThtā
uThtī jaatī haiñ saarī ummīdeñ
ḳhadsha-e-jism-o-jāñ nahīñ uThtā
haath uThte rahe haiñ mujh par 'shāh'
mujh se bār-e-zabāñ nahīñ uThtā
kya kahun kab dhuan nahin uThta
mujh se apna ziyan nahin uThta
bhinchte rahte hain dar-o-diwar
aur dil se makan nahin uThta
aabru tham tham leti hai
hath warna kahan nahin uThta
uThti jati hain sari ummiden
KHadsha-e-jism-o-jaan nahin uThta
hath uThte rahe hain mujh par 'shah'
mujh se bar-e-zaban nahin uThta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.