kya kahun tujhse meri jaan main shab ka ahwal
kyā kahūñ tujh se mirī jaan maiñ shab kā ahvāl
tujh pe raushan hai dil-e-vasl-talab kā ahvāl
huuñ maiñ ik āshiq-e-be-bāk o ḳharābātī o riñd
mujh se mat pūchh mire ilm-o-adab kā ahvāl
dil ko ḳhālī karūñ ro ro ke magar maiñ be-kas
kaun suntā hai mire rañj-o-ta.ab kā ahvāl
mahram-e-rāz nahīñ miltā koī dard hai ye
kyā tabīboñ se kahūñ ishq ke tab kā ahvāl
lutf hai sab se sazāvār-e-ġhazab ek huuñ maiñ
ḳhuub dekhā jo tire lutf o ġhazab kā ahvāl
ai miyāñ aaj to do baat mirī bhī sun le
kahā chāhūñ huuñ maiñ tujh se bhalā kab kā ahvāl
zor hai jaise ki nisbat namak o riish ke biich
maiñ hī samjhūñ tirī kaifiyyat-e-lab kā ahvāl
nahīñ dam mārne kī mujh ko tire aage majāl
haa.e suntā hai tū kis tarah se sab kā ahvāl
kyā koī ḳhush ho mire sher ko sun ke 'hasrat'
dard-e-dil hai ye nahīñ aish-o-tarab kā ahvāl
kya kahun tujh se meri jaan main shab ka ahwal
tujh pe raushan hai dil-e-wasl-talab ka ahwal
hun main ek aashiq-e-be-bak o KHarabaati o rind
mujh se mat puchh mere ilm-o-adab ka ahwal
dil ko KHali karun ro ro ke magar main be-kas
kaun sunta hai mere ranj-o-tab ka ahwal
mahram-e-raaz nahin milta koi dard hai ye
kya tabibon se kahun ishq ke tab ka ahwal
lutf hai sab se sazawar-e-ghazab ek hun main
KHub dekha jo tere lutf o ghazab ka ahwal
ai miyan aaj to do baat meri bhi sun le
kaha chahun hun main tujh se bhala kab ka ahwal
zor hai jaise ki nisbat namak o rish ke bich
main hi samjhun teri kaifiyyat-e-lab ka ahwal
nahin dam marne ki mujh ko tere aage majal
hae sunta hai tu kis tarah se sab ka ahwal
kya koi KHush ho mere sher ko sun ke 'hasrat'
dard-e-dil hai ye nahin aish-o-tarab ka ahwal
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.