kya kar rahe ho zulm karo rah rah ka
kyā kar rahe ho zulm karo raah raah kā
kahte haiñ be-jigar hai baḌā tiir aah kā
yuuñ rauñgTe larazte haiñ pūchheñge roz-e-hashr
kyuuñ ek din bhī ḳhauf na aayā gunāh kā
hālat pe merī un ke bhī aañsū nikal paḌe
dekhā gayā na yaas meñ aalam nigāh kā
kisrā kā taaq ka.abe ke but muñh ke bal gire
shohra sunā jo ashhado-an-lā-ilāh kā
'shā.ir' ajiib rañg se guzrī hai apnī umr
duniyā meñ naam bhī na sunā ḳhair-ḳhvāh kā
kya kar rahe ho zulm karo rah rah ka
kahte hain be-jigar hai baDa tir aah ka
yun raungTe larazte hain puchhenge roz-e-hashr
kyun ek din bhi KHauf na aaya gunah ka
haalat pe meri un ke bhi aansu nikal paDe
dekha gaya na yas mein aalam nigah ka
kisra ka taq kabe ke but munh ke bal gire
shohra suna jo ashhado-an-la-ilah ka
'shair' ajib rang se guzri hai apni umr
duniya mein nam bhi na suna KHair-KHwah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.