kya kare ya na kya kare koi
kyā kare yā na kyā kare koī
chup rahe yā gila kare koī
kis kā shikva gila kare koī
koī dā.ūd Thākre koī
aa.e kyā kyā mire tasavvur meñ
kuchh na samjhe ḳhudā kare koī
is qadar haiñ bharashT sarkāreñ
kyoñ na mahshar bapā kare koī
rone bhī chain se nahīñ dete
ġham-gusāroñ kā kyā kare koī
koī ummīd hai na imkāñ hai
aisī sūrat meñ kyā kare koī
tū ne 'parvāz' kyā kisī kā kiyā
kyoñ tirī vaah vā kare koī
kya kare ya na kya kare koi
chup rahe ya gila kare koi
kis ka shikwa gila kare koi
koi daud Thakre koi
aae kya kya mere tasawwur mein
kuchh na samjhe KHuda kare koi
is qadar hain bharashT sarkaren
kyon na mahshar bapa kare koi
rone bhi chain se nahin dete
gham-gusaron ka kya kare koi
koi ummid hai na imkan hai
aisi surat mein kya kare koi
tu ne 'parwaz' kya kisi ka kiya
kyon teri wah wa kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.