kya karun chup hai faza dard-ashna KHamosh hai
kyā karūñ chup hai fazā dard-āshnā ḳhāmosh hai
zulm hai rū-e-zamīñ par aur ḳhudā ḳhāmosh hai
rāste sunsān manzil duur rahbar sust-rau
dil-girafta rāh-rau bāñg-e-darā ḳhāmosh hai
'adl bahra hai gavāhān-e-tamāsha zar-ḳharīd
zulm goyā hai magar dārul-qazā ḳhāmosh hai
koī jugnū yā sitārā ho to kuchh ummīd ho
ab añdhere baḌh rahe haiñ aur diyā ḳhāmosh hai
kyā qayāmat hai ki chashm-e-yār hai be-surmagīñ
dast-o-pā be-rang haiñ rang-e-hinā ḳhāmosh hai
koī bhī ab barsar-e-paikār bātil se nahīñ
shaam ke bāzār chup haiñ karbalā ḳhāmosh hai
pesh-bandī ho rahī hai phir kisī tūfān kī
habs kā 'ālam hai aur āb-o-havā ḳhāmosh hai
kyā kahūñ 'rāhī' ki apnī ziist le aa.ī kahāñ
dard kā darmāñ nahīñ dast-e-du'ā ḳhāmosh hai
kya karun chup hai faza dard-ashna KHamosh hai
zulm hai ru-e-zamin par aur KHuda KHamosh hai
raste sunsan manzil dur rahbar sust-rau
dil-girafta rah-rau bang-e-dara KHamosh hai
'adl bahra hai gawahan-e-tamasha zar-KHarid
zulm goya hai magar darul-qaza KHamosh hai
koi jugnu ya sitara ho to kuchh ummid ho
ab andhere baDh rahe hain aur diya KHamosh hai
kya qayamat hai ki chashm-e-yar hai be-surmagin
dast-o-pa be-rang hain rang-e-hina KHamosh hai
koi bhi ab barsar-e-paikar baatil se nahin
sham ke bazar chup hain karbala KHamosh hai
pesh-bandi ho rahi hai phir kisi tufan ki
habs ka 'alam hai aur aab-o-hawa KHamosh hai
kya kahun 'rahi' ki apni zist le aai kahan
dard ka darman nahin dast-e-du'a KHamosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.