kya karun is masale ke samne
kyā karūñ is mas.ale ke sāmne
dasht hai kachche ghaḌe ke sāmne
tah-ba-tah manzar khulegā aañkh par
aa.ina hai aa.ine ke sāmne
is larazte ashk kī himmat to dekh
DaT gayā hai qahqahe ke sāmne
jaan le ki tere lab kuchh bhī nahīñ
āgahī ke zā.iqe ke sāmne
kar rahī hai be-sabātī par ḳhitāb
ek suuī bulbule ke sāmne
jāntā huuñ mask ke pīchhe kā dukh
ro rahā huuñ masḳhare ke sāmne
kya karun is masale ke samne
dasht hai kachche ghaDe ke samne
tah-ba-tah manzar khulega aankh par
aaina hai aaine ke samne
is larazte ashk ki himmat to dekh
DaT gaya hai qahqahe ke samne
jaan le ki tere lab kuchh bhi nahin
aagahi ke zaiqe ke samne
kar rahi hai be-sabaati par KHitab
ek sui bulbule ke samne
jaanta hun mask ke pichhe ka dukh
ro raha hun masKHare ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.