kya karun milti nahin mujhse tabiat uski
kyā karūñ miltī nahīñ mujh se tabī.at us kī
laakh inkār ho rahtī hai zarūrat us kī
āḳhirash mujh se vo milne ke liye raazī huā
al-ġharaz ho hī ga.ī mujh pe ināyat us kī
tum to āzād ho jo kuchh tumheñ kahnā hai kaho
yaar maiñ kar nahīñ saktā huuñ mazammat us kī
dil ko toḌā mujhe barbād kiyā chhoḌ diyā
haa.e 'az.har' maiñ karūñ kis se shikāyat us kī
kya karun milti nahin mujh se tabiat us ki
lakh inkar ho rahti hai zarurat us ki
aaKHirash mujh se wo milne ke liye raazi hua
al-gharaz ho hi gai mujh pe inayat us ki
tum to aazad ho jo kuchh tumhein kahna hai kaho
yar main kar nahin sakta hun mazammat us ki
dil ko toDa mujhe barbaad kiya chhoD diya
hae 'azhar' main karun kis se shikayat us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.