kya KHabar kis ko kab kahan de de
kyā ḳhabar kis ko kab kahāñ de de
aur de de to do jahāñ de de
hai yahī ishq kī namāz kā vaqt
hijr uTh jā zarā azaañ de de
ye jo bachche havā meñ kūdte haiñ
in ke hāthoñ meñ āsmāñ de de
kab talak zindagī safar meñ rahe
qabr hī de de par makāñ de de
phuul kitne udaas lagte haiñ
ai ḳhudā in ko titliyāñ de de
ye mire haq meñ bol sakte haiñ
pattharoñ ko ḳhudā zabāñ de de
kya KHabar kis ko kab kahan de de
aur de de to do jahan de de
hai yahi ishq ki namaz ka waqt
hijr uTh ja zara azan de de
ye jo bachche hawa mein kudte hain
in ke hathon mein aasman de de
kab talak zindagi safar mein rahe
qabr hi de de par makan de de
phul kitne udas lagte hain
ai KHuda in ko titliyan de de
ye mere haq mein bol sakte hain
pattharon ko KHuda zaban de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.