kya KHabar thi ek bala-e-na-gahani aaegi
kyā ḳhabar thī ik balā-e-nā-gahānī aa.egī
nā-murādī kī nishānī ye javānī aa.egī
sab kaheñge kaun kartā hai hamāre raaz faash
jab mire lab par mohabbat kī kahānī aa.egī
nā-murādī se kaho muñh pher le apnā zarā
merī duniyā meñ urūs-e-kāmrānī aa.egī
jab ḳhizāñ kī nazr ho jā.egī duniyā se shabāb
yaad 'aḳhtar' ye sitam-ārā javānī aa.egī
kya KHabar thi ek bala-e-na-gahani aaegi
na-muradi ki nishani ye jawani aaegi
sab kahenge kaun karta hai hamare raaz fash
jab mere lab par mohabbat ki kahani aaegi
na-muradi se kaho munh pher le apna zara
meri duniya mein urus-e-kaamrani aaegi
jab KHizan ki nazr ho jaegi duniya se shabab
yaad 'aKHtar' ye sitam-ara jawani aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.