kya KHabar thi is qadar wo bewafa ho jaega
kyā ḳhabar thī is qadar vo bevafā ho jā.egā
ek din saaya mirā mujh se judā ho jā.egā
had se baḌh kar gar kisī ko tum ne chāhā phir vahī
bā-vafā hote hue bhī bevafā ho jā.egā
zulm kī bhī intihā hotī hai itnā soch le
aah ke sho.aloñ meñ jal kar tū fanā ho jā.egā
gar bachā kar jī liye īmān ko is daur meñ
dosto phir zindagī kā haq adā ho jā.egā
is liye kartā nahīñ ab dard-e-dil kā maiñ ilaaj
dard jab had se baḌhegā ḳhud davā ho jā.egā
kya KHabar thi is qadar wo bewafa ho jaega
ek din saya mera mujh se juda ho jaega
had se baDh kar gar kisi ko tum ne chaha phir wahi
ba-wafa hote hue bhi bewafa ho jaega
zulm ki bhi intiha hoti hai itna soch le
aah ke shoalon mein jal kar tu fana ho jaega
gar bacha kar ji liye iman ko is daur mein
dosto phir zindagi ka haq ada ho jaega
is liye karta nahin ab dard-e-dil ka main ilaj
dard jab had se baDhega KHud dawa ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.