kya KHabar thi ki KHata yun bhi nishane honge
kyā ḳhabar thī ki ḳhatā yuuñ bhī nishāne hoñge
ye na.ī nasl ke bhī log purāne hoñge
saḳht sikkoñ kī khanak guuñj rahī hai har-sū
narm pairoñ ko abhī raqs dikhāne hoñge
dil bhī chāhe hai ki bhar jā.ūñ koī ūñchī uḌaan
ghuT ke rah jaane meñ bhī kaun Thikāne hoñge
itnī āsānī se ye ḳhatm na hoñgī sāñseñ
zindagī aur tujhe ḳhvāb dikhāne hoñge
surḳh sho'loñ kī zabāñ chaaT na jaa.e bastī
shahr-dar-shahr ye ehsās jagāne hoñge
kya KHabar thi ki KHata yun bhi nishane honge
ye nai nasl ke bhi log purane honge
saKHt sikkon ki khanak gunj rahi hai har-su
narm pairon ko abhi raqs dikhane honge
dil bhi chahe hai ki bhar jaun koi unchi uDan
ghuT ke rah jaane mein bhi kaun Thikane honge
itni aasani se ye KHatm na hongi sansen
zindagi aur tujhe KHwab dikhane honge
surKH sho'lon ki zaban chaT na jae basti
shahr-dar-shahr ye ehsas jagane honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.