Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya khoya tha kya paya tha ab to ye bhi yaad nahin

Qamar Suroor

kya khoya tha kya paya tha ab to ye bhi yaad nahin

Qamar Suroor

MORE BYQamar Suroor

    kyā khoyā thā kyā paayā thā ab to ye bhī yaad nahīñ

    kis se bichhḌe kaun milā thā ab to ye bhī yaad nahīñ

    yaad hai bas itnā mujh ko maiñ ne peḌ pe likkhā thā

    lekin kis naam likhā thā ab to ye bhī yaad nahīñ

    halkā halkā yaad hai utnā kuchh na kuchh to TuuTā thā

    dil thā phir ahd-e-vafā thā ab to ye bhī yaad nahīñ

    sakhiyāñ sāthī khel khilaune apne liye to ḳhvāb the

    bachpan apnā kab biitā thā ab to ye bhī yaad nahīñ

    auroñ ḳhātir jiinā thā aur is jiine ḳhātir

    ham ne kitnā zahr piyā thā ab to ye bhī yaad nahīñ

    rahzan ban kar rahbar ne luuTā thā ik roz 'qamar'

    kaun luTā thā kaun bachā thā ab to ye bhī yaad nahīñ

    kya khoya tha kya paya tha ab to ye bhi yaad nahin

    kis se bichhDe kaun mila tha ab to ye bhi yaad nahin

    yaad hai bas itna hi mujh ko main ne peD pe likkha tha

    lekin kis ka nam likha tha ab to ye bhi yaad nahin

    halka halka yaad hai utna kuchh na kuchh to TuTa tha

    dil tha ya phir ahd-e-wafa tha ab to ye bhi yaad nahin

    sakhiyan sathi khel khilaune apne liye to KHwab hi the

    bachpan apna kab bita tha ab to ye bhi yaad nahin

    auron ki KHatir jina tha aur is jine ki KHatir

    hum ne kitna zahr piya tha ab to ye bhi yaad nahin

    rahzan ban kar rahbar ne hi luTa tha ek roz 'qamar'

    kaun luTa tha kaun bacha tha ab to ye bhi yaad nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now