Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya koi samjhega afsana mera

Munawwar Lakhnavi

kya koi samjhega afsana mera

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    kyā koī samjhegā afsāna mirā

    haal hai sab se judāgāna mirā

    mai pilānā hai to yuuñ saaqī pilā

    ho kabhī ḳhālī na paimāna mirā

    tum banā lete ho apnī dāstāñ

    jab ulaT jaatā hai afsāna mirā

    zarf merā merī himmat dekh kar

    chuum lete haiñ vo paimāna mirā

    ai 'munavvar' maiñ huuñ ik āzād mard

    mashrab-o-maslak hai rindāna mirā

    kya koi samjhega afsana mera

    haal hai sab se judagana mera

    mai pilana hai to yun saqi pila

    ho kabhi KHali na paimana mera

    tum bana lete ho apni dastan

    jab ulaT jata hai afsana mera

    zarf mera meri himmat dekh kar

    chum lete hain wo paimana mera

    ai 'munawwar' main hun ek aazad mard

    mashrab-o-maslak hai rindana mera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now