kya kuchh na mujhse waqt ka ayyar le gaya
kya kuchh na mujhse waqt ka ayyar le gaya
Mirza Shariq Laharpuri
MORE BYMirza Shariq Laharpuri
kyā kuchh na mujh se vaqt kā ayyār le gayā
rusvā.ī de ke azmat-e-kirdār le gayā
nafrat kī būd-o-bāsh se mujh ko ġharaz nahīñ
jo mere paas aa gayā vo pyaar le gayā
vo qahqahe luTā.e hai ab mere haal par
jo mere ghar se sham.a-e-ziyā-bār le gayā
bachchoñ ko kis tarah se maiñ bahlā sakūñgā aaj
bāzār ke khilaune to zardār le gayā
mere alāva kaun hai kuchh to batā.iye
jo shaḳhs ūñch-nīch kī dīvār le gayā
ahl-e-havas ko fikr ki ik bhūkā shaḳhs bhī
kaise bachā ke dāman-e-kirdār le gayā
ilzām ġhair par koī aa.e to kis liye
'shāriq' ko us kā farz sar-e-dār le gayā
kya kuchh na mujh se waqt ka ayyar le gaya
ruswai de ke azmat-e-kirdar le gaya
nafrat ki bud-o-bash se mujh ko gharaz nahin
jo mere pas aa gaya wo pyar le gaya
wo qahqahe luTae hai ab mere haal par
jo mere ghar se shama-e-ziya-bar le gaya
bachchon ko kis tarah se main bahla sakunga aaj
bazar ke khilaune to zardar le gaya
mere alawa kaun hai kuchh to bataiye
jo shaKHs unch-nich ki diwar le gaya
ahl-e-hawas ko fikr ki ek bhuka shaKHs bhi
kaise bacha ke daman-e-kirdar le gaya
ilzam ghair par koi aae to kis liye
'shaariq' ko us ka farz sar-e-dar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.