kya kya hue hain hum pe sitam kuchh na puchhiye
kyā kyā hue haiñ ham pe sitam kuchh na pūchhiye
nāguftanī hai qissa-e-ġham kuchh na pūchhiye
dil kā to haal aap ko ham ne sunā diyā
jin mushkiloñ meñ aap haiñ ham kuchh na pūchhiye
guzre ba-ḳhair ka.aba-o-but-ḳhāna se to ham
ab sar kis āstāñ pe hai ḳham kuchh na pūchhiye
āñkhoñ meñ ashk lab pe fuġhāñ dil meñ iztirāb
kis mehrbāñ ke haiñ ye karam kuchh na pūchhiye
samjhā huā thā husn ko ham ne vafā-sarisht
niklā hai kis tarah ye bharam kuchh na pūchhiye
merī nazar meñ vaq.at-e-dair-o-haram hai kyā
ai sakinān-e-dair-o-haram kuchh na pūchhiye
le jā rahā hai zauq-e-tamāshā mujhe kahāñ
uThte haiñ kis taraf ko qadam kuchh na pūchhiye
pahuñchā hai aaj nāma-e-dildār to hameñ
kyā kyā huā hai zeb-e-raqam kuchh na pūchhiye
husn-e-suḳhan meñ lutf jo hai kyā batā.eñ ham
'sāhir' ke sher hī kī qasam kuchh na pūchhiye
kya kya hue hain hum pe sitam kuchh na puchhiye
naguftani hai qissa-e-gham kuchh na puchhiye
dil ka to haal aap ko hum ne suna diya
jin mushkilon mein aap hain hum kuchh na puchhiye
guzre ba-KHair kaba-o-but-KHana se to hum
ab sar kis aastan pe hai KHam kuchh na puchhiye
aankhon mein ashk lab pe fughan dil mein iztirab
kis mehrban ke hain ye karam kuchh na puchhiye
samjha hua tha husn ko hum ne wafa-sarisht
nikla hai kis tarah ye bharam kuchh na puchhiye
meri nazar mein waqat-e-dair-o-haram hai kya
ai sakinan-e-dair-o-haram kuchh na puchhiye
le ja raha hai zauq-e-tamasha mujhe kahan
uThte hain kis taraf ko qadam kuchh na puchhiye
pahuncha hai aaj nama-e-dildar to hamein
kya kya hua hai zeb-e-raqam kuchh na puchhiye
husn-e-suKHan mein lutf jo hai kya bataen hum
'sahir' ke sher hi ki qasam kuchh na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.