kyā kyā inbox meñ ugalte haiñ
ye jo ban kar sharīf baiThe haiñ
aap mauqa-parast na.iiñ haiñ so
aap ko ek mauqa dete haiñ
dil tire muñh pe mārne ke liye
us ke massage sambhāl rakkhe haiñ
khel kheleñge aap ham se bhī
ham to bachpan se saath khele haiñ
sukh kī khiḌkī yā ġham kā darvāza
aap dil meñ kahāñ se aa.e haiñ
kuchh to mujh se burā kiyā hogā
aap jo mujh ko apne lagte haiñ
ḳhvāb aate raheñ hameñ us ke
phuul takiye pe rakh ke sote haiñ
us ne yuuñ kah diyā to us ne yuuñ
chhoTe logoñ ke dukh bhī chhoTe haiñ
kya kya inbox mein ugalte hain
ye jo ban kar sharif baiThe hain
aap mauqa-parast nain hain so
aap ko ek mauqa dete hain
dil tere munh pe marne ke liye
us ke massage sambhaal rakkhe hain
khel khelenge aap hum se bhi
hum to bachpan se sath khele hain
sukh ki khiDki ya gham ka darwaza
aap dil mein kahan se aae hain
kuchh to mujh se bura kiya hoga
aap jo mujh ko apne lagte hain
KHwab aate rahen hamein us ke
phul takiye pe rakh ke sote hain
us ne yun kah diya to us ne yun
chhoTe logon ke dukh bhi chhoTe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.