kya kya log KHushi se apni bikne par tayyar hue
kyā kyā log ḳhushī se apnī bikne par tayyār hue
ek hamīñ dīvāne nikle ham hī yahāñ par ḳhvār hue
pyaar ke bandhan ḳhuun ke rishte TuuT ga.e ḳhvāboñ kī tarah
jāgtī āñkheñ dekh rahī thiiñ kyā kyā kārobār hue
aap vo syāne raste ke har patthar ko but maan liyā
ham vo pāgal apnī raah meñ aap hī ḳhud dīvār hue
apnī apnī jagah par donoñ be-bas bhī masrūr bhī haiñ
tum tahrīr-e-sañg hue ham bhūlā huā iqrār hue
aane vaalī sub.h ginegī raat ke andhe tūfāñ meñ
kitne sāhil hī par Duube kitne bhañvar ke paar hue
kya kya log KHushi se apni bikne par tayyar hue
ek hamin diwane nikle hum hi yahan par KHwar hue
pyar ke bandhan KHun ke rishte TuT gae KHwabon ki tarah
jagti aankhen dekh rahi thin kya kya karobar hue
aap wo syane raste ke har patthar ko but man liya
hum wo pagal apni rah mein aap hi KHud diwar hue
apni apni jagah par donon be-bas bhi masrur bhi hain
tum tahrir-e-sang hue hum bhula hua iqrar hue
aane wali subh ginegi raat ke andhe tufan mein
kitne sahil hi par Dube kitne bhanwar ke par hue
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 248)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.