kya manzil-e-gham simaT gai hai
kyā manzil-e-ġham simaT ga.ī hai
ik aah meñ raah kaT ga.ī hai
phir sāmne hai pahāḌ sī raat
phir shaam se niiñd uchaT ga.ī hai
pahlū meñ ye kaisā dard uThā hai
ye kaun sī raah kaT ga.ī hai
aap aa.e nahīñ to maut kambaḳht
aa aa ke palaT palaT ga.ī hai
uTh uTh ke marīz-e-ġham ne pūchhā
kyā hijr kī raat kaT ga.ī hai
phir 'saif' havā-e-yād-e-rafta
har ġham kī naqāb ulaT ga.ī hai
kya manzil-e-gham simaT gai hai
ek aah mein rah kaT gai hai
phir samne hai pahaD si raat
phir sham se nind uchaT gai hai
pahlu mein ye kaisa dard uTha hai
ye kaun si rah kaT gai hai
aap aae nahin to maut kambaKHt
aa aa ke palaT palaT gai hai
uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchha
kya hijr ki raat kaT gai hai
phir 'saif' hawa-e-yaad-e-rafta
har gham ki naqab ulaT gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.