kya na-didon se zamane ko sarokar hai aaj
kyā na-dīdoñ se zamāne ko sarokār hai aaj
ek dirham jo rakhe mālik-e-dīnār hai aaj
kal to ma.amūra-e-ālam ko Dubāyā ai chashm
kyā ḳharābī hai tū phir rone ko tayyār hai aaj
dekhnā dekhnā kyā dil meñ lagī ātish-e-ishq
kyuuñ mirā nāla-e-ḳhūñ-bār sharar-bār hai aaj
ai 'razā' ḳhatt-e-siyah us ke nahīñ chehre par
husn ke vāqiye kā yaar azā-dār hai aaj
kya na-didon se zamane ko sarokar hai aaj
ek dirham jo rakhe malik-e-dinar hai aaj
kal to mamura-e-alam ko Dubaya ai chashm
kya KHarabi hai tu phir rone ko tayyar hai aaj
dekhna dekhna kya dil mein lagi aatish-e-ishq
kyun mera nala-e-KHun-bar sharar-bar hai aaj
ai 'raza' KHatt-e-siyah us ke nahin chehre par
husn ke waqiye ka yar aza-dar hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.