kya nazara tha meri aankhon mein
kyā nazāra thā merī āñkhoñ meñ
jab vo saarā thā merī āñkhoñ meñ
ek tūfān thā kahīñ barpā
aur dhārā thā merī āñkhoñ meñ
haal kaisā ye tū ne kar Daalā
kitnā pyārā thā merī āñkhoñ meñ
kuchh bhī dekhā nahīñ thā maiñ ne jab
har nazāra thā merī āñkhoñ meñ
chāñd jab tak nazar na aayā thā
taarā taarā thā merī āñkhoñ meñ
jab kiyā ishq kā safar āġhāz
kab kināra thā merī āñkhoñ meñ
kitnī āñkhoñ se 'shāz' bachte hue
koī haarā thā merī āñkhoñ meñ
kya nazara tha meri aankhon mein
jab wo sara tha meri aankhon mein
ek tufan tha kahin barpa
aur dhaara tha meri aankhon mein
haal kaisa ye tu ne kar Dala
kitna pyara tha meri aankhon mein
kuchh bhi dekha nahin tha main ne jab
har nazara tha meri aankhon mein
chand jab tak nazar na aaya tha
tara tara tha meri aankhon mein
jab kiya ishq ka safar aaghaz
kab kinara tha meri aankhon mein
kitni aankhon se 'shaz' bachte hue
koi haara tha meri aankhon mein
- Book : khamoshi ki khidkii se (Pg. 116)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.