kyā pata mo.ajiza huā kaise
dard merā davā huā kaise
sar jhukā kaise but ke sajde meñ
aur sajda ravā huā kaise
ek ḳhāmosh dil kī dhaḌkan par
shor itnā bapā huā kaise
hādisa tai thā par huā hī nahīñ
jaane ye hādisa huā kaise
jo mujhe paḌh le bas yahī pūchhe
ek safha phaTā huā kaise
maiñ tujhe ik gunāh samjhā thā
phir tū merī sazā huā kaise
gar na maiñ apnī shartoñ par chhuTā
to batāo rihā huā kaise
jo ki piñjra na ho to uḌ jaa.e
phir vo panchhī mirā huā kaise
tū pareshāñ hai lafz-e-kun le kar
maiñ ye sochūñ ḳhudā huā kaise
kya pata moajiza hua kaise
dard mera dawa hua kaise
sar jhuka kaise but ke sajde mein
aur sajda rawa hua kaise
ek KHamosh dil ki dhaDkan par
shor itna bapa hua kaise
hadisa tai tha par hua hi nahin
jaane ye hadisa hua kaise
jo mujhe paDh le bas yahi puchhe
ek safha phaTa hua kaise
main tujhe ek gunah samjha tha
phir tu meri saza hua kaise
gar na main apni sharton par chhuTa
to batao riha hua kaise
jo ki pinjra na ho to uD jae
phir wo panchhi mera hua kaise
tu pareshan hai lafz-e-kun le kar
main ye sochun KHuda hua kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.