kya puchho ho kya kahiye miyan dil ne bhi kya kaam kiya
kya puchho ho kya kahiye miyan dil ne bhi kya kaam kiya
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
kyā pūchho ho kyā kahiye miyāñ dil ne bhī kyā kaam kiyā
ishq kiyā nākām rahā āḳhir ko kaam tamām kiyā
ijz kiyā sau us mufsid ne qadr hamārī ye kuchh kī
tyorī chaḌhā.ī ġhussa kiyā jab ham ne jhuk ke salām kiyā
kahne kī bhī likhne kī bhī ham to qasam khā baiThe the
āḳhir dil kī betābi se ḳhat bhejā paiġhām kiyā
ishq kī tohmat jab na huī thī kaahe ko shohrat aisī thī
shahr meñ ab rusvā haiñ ya.anī badnāmī se kaam kiyā
registāñ meñ jā ke raheñ yā sangistāñ meñ ham jogī
raat huī jis jāgah ham ko ham ne vahīñ bisrām kiyā
ḳhatt-o-kitābat likhnā us ko tark kiyā thā is hī liye
harf-o-suḳhan se Tapkā lohū ab jo kuchh irqām kiyā
talḳh us kā to shahd-o-shakar hai zauq meñ ham nākāmoñ ke
logoñ meñ lekin poch kahā ye lutf-e-be-hangām kiyā
jaise koī jahāñ se jaave ruḳhsat is hasrat se hue
us kūche se nikal kar ham ne rū-ba-qafā har gaam kiyā
'mīr' jo un ne muñh ko idhar kar ham se koī baat kahī
lutf kiyā ehsān kiyā in.aam kiyā ikrām kiyā
kya puchho ho kya kahiye miyan dil ne bhi kya kaam kiya
ishq kiya nakaam raha aaKHir ko kaam tamam kiya
ijz kiya sau us mufsid ne qadr hamari ye kuchh ki
tyori chaDhai ghussa kiya jab hum ne jhuk ke salam kiya
kahne ki bhi likhne ki bhi hum to qasam kha baiThe the
aaKHir dil ki betabi se KHat bheja paigham kiya
ishq ki tohmat jab na hui thi kahe ko shohrat aisi thi
shahr mein ab ruswa hain yani badnami se kaam kiya
registan mein ja ke rahen ya sangistan mein hum jogi
raat hui jis jagah hum ko hum ne wahin bisram kiya
KHatt-o-kitabat likhna us ko tark kiya tha is hi liye
harf-o-suKHan se Tapka lohu ab jo kuchh irqam kiya
talKH us ka to shahd-o-shakar hai zauq mein hum nakaamon ke
logon mein lekin poch kaha ye lutf-e-be-hangam kiya
jaise koi jahan se jawe ruKHsat is hasrat se hue
us kuche se nikal kar hum ne ru-ba-qafa har gam kiya
'mir' jo un ne munh ko idhar kar hum se koi baat kahi
lutf kiya ehsan kiya inam kiya ikram kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1542
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.