kya qahr tha hashim jo na marta koi din aur
kyā qahr thā 'hāshim' jo na martā koī din aur
kartā tirī rahmat kā tamāshā koī din aur
be-parda ḳhavātīn kī be-rāh-ravī par
bachchoñ kī tarah phuuT ke rotā koī din aur
har sub.h ko har shaam ko makkhan kī dukāñ par
makkhan kī milāvaT pe jhagaḌtā koī din aur
har gaam mahīlāoñ se Takrātā saḌak par
kahtīñ use jhuñjhlā ke sab andhā koī din aur
har roz unheñ duur se ā.īna dikhā kar
rīshā.īlī mullāoñ pe hañstā koī din aur
miltī na charā-gāh-e-siyāsat meñ agar ghaas
maidān-e-zarāfat meñ tū chartā koī din aur
martā jo na 'hāshim' to qasam zinda-dilī kī
hotā tirī duniyā meñ tamāshā koī din aur
kya qahr tha 'hashim' jo na marta koi din aur
karta teri rahmat ka tamasha koi din aur
be-parda KHawatin ki be-rah-rawi par
bachchon ki tarah phuT ke rota koi din aur
har subh ko har sham ko makkhan ki dukan par
makkhan ki milawaT pe jhagaDta koi din aur
har gam mahilaon se Takraata saDak par
kahtin use jhunjhla ke sab andha koi din aur
har roz unhen dur se aaina dikha kar
rishaili mullaon pe hansta koi din aur
milti na chara-gah-e-siyasat mein agar ghas
maidan-e-zarafat mein tu charta koi din aur
marta jo na 'hashim' to qasam zinda-dili ki
hota teri duniya mein tamasha koi din aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.