kya qayamat hai gham ki girai
kyā qayāmat hai ġham kī gīrā.ī
hañsnā chāhā to aañkh bhar aa.ī
un kī yādoñ kī jalva-ārā.ī
kitnī raushan hai shām-e-tanhā.ī
marhabā ai junūñ kī rusvā.ī
un ke hoñToñ pe bhī hañsī aa.ī
kis kī aamad kī hai ḳhabar yārab
dil kī dhaḌkan banī hai shahnā.ī
koī jaada na koī manzil hai
zindagī kis maqām par aa.ī
lab pe mohar-e-sukūt hai lekin
mil ga.ī hai nazar ko goyā.ī
ab 'mubārak' kī zindagī kyā hai
un kī yaad aur kunj-e-tanhā.ī
kya qayamat hai gham ki girai
hansna chaha to aankh bhar aai
un ki yaadon ki jalwa-arai
kitni raushan hai sham-e-tanhai
marhaba ai junun ki ruswai
un ke honTon pe bhi hansi aai
kis ki aamad ki hai KHabar yarab
dil ki dhaDkan bani hai shahnai
koi jada na koi manzil hai
zindagi kis maqam par aai
lab pe mohar-e-sukut hai lekin
mil gai hai nazar ko goyai
ab 'mubarak' ki zindagi kya hai
un ki yaad aur kunj-e-tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.