kya qusur ai arz-e-matlab hasrat-e-pur-josh ka
kyā qusūr ai arz-e-matlab hasrat-e-pur-josh kā
chashm-e-hairāñ kā gila hai yā lab-e-ḳhāmosh kā
hairat-ābād-e-tajallī meñ nahīñ us dil kā kaam
sadma-parvarda ho jo mehnat-sarā-e-hosh kā
teġh-e-qātil maiñ tire qurbāñ baḌā ehsāñ kiyā
jism baar ik ruuh kā thā sar vabāl ik dosh kā
pā-e-nāzuk ko zarā de ruḳhsat-e-mashq-e-ḳhirām
kab se taktī hai qayāmat muñh tirī pā-posh kā
hastī-e-husn-o-taġhāful-peshgī kā hai gavāh
jāñ-ba-lab honā tumhāre āshiq-e-mad.hosh kā
kam na hogā shor-e-noshā-nosh-e-sahbā vā.izo
dam salāmat chāhiye ummīd-e-sahbā-nosh kā
kya qusur ai arz-e-matlab hasrat-e-pur-josh ka
chashm-e-hairan ka gila hai ya lab-e-KHamosh ka
hairat-abaad-e-tajalli mein nahin us dil ka kaam
sadma-parwarda ho jo mehnat-sara-e-hosh ka
tegh-e-qatil main tere qurban baDa ehsan kiya
jism bar ek ruh ka tha sar wabaal ek dosh ka
pa-e-nazuk ko zara de ruKHsat-e-mashq-e-KHiram
kab se takti hai qayamat munh teri pa-posh ka
hasti-e-husn-o-taghaful-peshgi ka hai gawah
jaan-ba-lab hona tumhaare aashiq-e-madhosh ka
kam na hoga shor-e-nosha-nosh-e-sahba waizo
dam salamat chahiye ummid-e-sahba-nosh ka
- Book : Ghazal Usne Chhedi-5 (Pg. 29)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : B-37,Sector-1,Noida,Uttarpardesh-201301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.