kya sab usne sun kar an-suna kya
kyā sab us ne sun kar an-sunā kyā
vo ḳhud meñ is qadar thā mubtalā kyā
maiñ huuñ guzrā huā sā ek lamha
mire haq meñ duā kyā bad-duā kyā
kiran aa.ī kahāñ se raushnī kī
añdhere meñ koī jugnū jalā kyā
musāfir sab palaT kar aa rahe haiñ
vahāñ se band hai har rāsta kyā
maiñ ik muddat se ḳhud hī gum-shuda huuñ
batā.ūñ aap ko apnā patā kyā
ye mahfil do dhaḌoñ meñ baT ga.ī hai
zarā pūchho hai kis kā mudda.ā kyā
mohabbat rahguzar hai kahkashāñ sī
so is meñ ibtidā kyā intihā kyā
kya sab us ne sun kar an-suna kya
wo KHud mein is qadar tha mubtala kya
main hun guzra hua sa ek lamha
mere haq mein dua kya bad-dua kya
kiran aai kahan se raushni ki
andhere mein koi jugnu jala kya
musafir sab palaT kar aa rahe hain
wahan se band hai har rasta kya
main ek muddat se KHud hi gum-shuda hun
bataun aap ko apna pata kya
ye mahfil do dhaDon mein baT gai hai
zara puchho hai kis ka muddaa kya
mohabbat rahguzar hai kahkashan si
so is mein ibtida kya intiha kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.