kya sabab tha kis liye duniya se main Darta raha
kya sabab tha kis liye duniya se main Darta raha
Santosh khirvadkar
MORE BYSantosh khirvadkar
kyā sabab thā kis liye duniyā se maiñ Dartā rahā
sar jhukā kar jis ne jo bhī kah diyā kartā rahā
sī diyā thā mere hoñToñ ko zamāne ne magar
zikr sub.h-o-shām terā phir bhī maiñ kartā rahā
zindagī ke rāste meñ zaḳhm jo mujh ko mile
chupke chupke pyaar ke marham se vo bhartā rahā
jaate jaate vo mujhe kah kar ga.e the is liye
lamha lamha zindagī jiitā rahā martā rahā
sādgī kī maiñ ne ye qīmat chukā.ī umr bhar
jurm koī aur kartā danD maiñ bhartā rahā
kya sabab tha kis liye duniya se main Darta raha
sar jhuka kar jis ne jo bhi kah diya karta raha
si diya tha mere honTon ko zamane ne magar
zikr subh-o-sham tera phir bhi main karta raha
zindagi ke raste mein zaKHm jo mujh ko mile
chupke chupke pyar ke marham se wo bharta raha
jate jate wo mujhe kah kar gae the is liye
lamha lamha zindagi jita raha marta raha
sadgi ki main ne ye qimat chukai umr bhar
jurm koi aur karta danD main bharta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.