kya sarokar ab kisi se mujhe
kyā sarokār ab kisī se mujhe
vāsta thā to thā tujhī se mujhe
be-hisī kā bhī ab nahīñ ehsās
kyā huā terī be-ruḳhī se mujhe
maut kī aarzū bhī kar dekho
kyā ummīdeñ thiiñ zindagī se mujhe
phir kisī par na e'tibār aa.e
yuuñ utāro na apne jī se mujhe
terā ġham bhī na ho to kyā jiinā
kuchh tasallī hai dard hī se mujhe
kitnā purkār ho gayā huuñ ki thā
vāsta terī sādgī se mujhe
kar ga.e kis qadar tabāh 'ziyā'
dushman andāz-e-dostī se mujhe
kya sarokar ab kisi se mujhe
wasta tha to tha tujhi se mujhe
be-hisi ka bhi ab nahin ehsas
kya hua teri be-ruKHi se mujhe
maut ki aarzu bhi kar dekho
kya ummiden thin zindagi se mujhe
phir kisi par na e'tibar aae
yun utaro na apne ji se mujhe
tera gham bhi na ho to kya jina
kuchh tasalli hai dard hi se mujhe
kitna purkar ho gaya hun ki tha
wasta teri sadgi se mujhe
kar gae kis qadar tabah 'ziya'
dushman andaz-e-dosti se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.