kya shab-e-gham meri basar na hui
kyā shab-e-ġham mirī basar na huī
tum na aa.e to kyā sahar na huī
shām-e-ġham kī kabhī sahar na huī
jo duā kī vo kārgar na huī
shab-e-furqat tavīl thī jitnī
aur koī raat is qadar na huī
thī nigāh-e-karam raqīboñ par
umr bhar vo kabhī idhar na huī
kyā kahūñ apnī nā-murādī-e-dil
ki mohabbat bhī mo'atabar na huī
mirī barbādiyoñ ke qissoñ par
kab zamāne kī aañkh tar na huī
shab-e-va.ada vo aa ga.e 'nāzī'
shukr hai kuchh agar-magar na huī
kya shab-e-gham meri basar na hui
tum na aae to kya sahar na hui
sham-e-gham ki kabhi sahar na hui
jo dua ki wo kargar na hui
shab-e-furqat tawil thi jitni
aur koi raat is qadar na hui
thi nigah-e-karam raqibon par
umr bhar wo kabhi idhar na hui
kya kahun apni na-muradi-e-dil
ki mohabbat bhi mo'atabar na hui
meri barbaadiyon ke qisson par
kab zamane ki aankh tar na hui
shab-e-wada wo aa gae 'nazi'
shukr hai kuchh agar-magar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.