kya shoKH achpale hain tere nayan mamola
Interesting Fact
Mamolaa was also one of Aabroo's beloveds
kyā shoḳh achpale haiñ tere nayan mamolā
jin kuuñ narakh jale haiñ sab manharan mamolā
bar meñ ḳhayāl ke bhī kyūñkar ke aa sake dil
nāzuk hai jaan setī terā badan mamolā
jo ik nigah karo tum karte ho kaam so tum
sīkhe kahāñ siiñ ho tum ye makr-o-fan mamolā
āzād sab jagat ke aa kar ġhulām hoveñ
jab būdlī banāve apnā baran mamolā
qad sarv chashm nargis ruḳh gul dahān ġhuncha
kartā huuñ dekh tum kuuñ sair-e-chaman mamolā
har raat sham.a ke juuñ jaltī hai jaan merī
jab siiñ lagī hai tum siiñ dil kī lagan mamolā
kya shoKH achpale hain tere nayan mamola
jin kun narakh jale hain sab manharan mamola
bar mein KHayal ke bhi kyunkar ke aa sake dil
nazuk hai jaan seti tera badan mamola
jo ek nigah karo tum karte ho kaam so tum
sikhe kahan sin ho tum ye makr-o-fan mamola
aazad sab jagat ke aa kar ghulam howen
jab budli banawe apna baran mamola
qad sarw chashm nargis ruKH gul dahan ghuncha
karta hun dekh tum kun sair-e-chaman mamola
har raat shama ke jun jalti hai jaan meri
jab sin lagi hai tum sin dil ki lagan mamola
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 84)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.