Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya sitaron ko taka hai raat bhar pal pal kabhi

Sandeep Thakur

kya sitaron ko taka hai raat bhar pal pal kabhi

Sandeep Thakur

MORE BYSandeep Thakur

    kyā sitāroñ ko takā hai raat bhar pal pal kabhī

    chāñd ke gāloñ pe paḌte dekhe haiñ Dimple kabhī

    naam merā yaad karke chuskiyoñ ke biich meñ

    kyā huī hai chaa.e ke cup meñ tire halchal kabhī

    jāntā huuñ umr bhar saath de saktā nahīñ

    par zarā duur tak to saath mere chal kabhī

    search karnā hai mujhe be-kār internet par

    dhaḌkanoñ meñ apnī merā naam kar gōgle kabhī

    uñgliyoñ se kuchh saraktā lage hai aaj tak

    chhū gayā thā haath se ik reshmī āñchal kabhī

    ghuñgrūoñ ke sur jageñge chhat har munDer se

    sīḌhiyāñ chaḌh le vo gar pahne hue pāyal kabhī

    ye samajh lenā koī royā bahut hai yaad meñ

    phail jaa.e jab tumhārī aañkh se kājal kabhī

    chand kirneñ dhuup chhan kar huī bas sāñvlī

    rok paa.e par kahāñ sūraj ko ye bādal kabhī

    kya sitaron ko taka hai raat bhar pal pal kabhi

    chand ke galon pe paDte dekhe hain Dimple kabhi

    nam mera yaad karke chuskiyon ke bich mein

    kya hui hai chae ke cup mein tere halchal kabhi

    jaanta hun umr bhar tu sath de sakta nahin

    par zara si dur tak to sath mere chal kabhi

    search karna hai mujhe be-kar internet par

    dhaDkanon mein apni mera nam kar google kabhi

    ungliyon se kuchh sarakta sa lage hai aaj tak

    chhu gaya tha hath se ek reshmi aanchal kabhi

    ghungruon ke sur jagenge chhat ki har munDer se

    siDhiyan chaDh le wo gar pahne hue payal kabhi

    ye samajh lena koi roya bahut hai yaad mein

    phail jae jab tumhaari aankh se kajal kabhi

    chand kirnen dhup ki chhan kar hui bas sanwli

    rok pae par kahan suraj ko ye baadal kabhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now