kya sitam hai ki sitam hum pe wo kar jate hain
kya sitam hai ki sitam hum pe wo kar jate hain
Mahboob Khan Raunaq
MORE BYMahboob Khan Raunaq
kyā sitam hai ki sitam ham pe vo kar jaate haiñ
apne saa.e se jo tanhā.ī meñ Dar jaate haiñ
lauT ke aanā hī paḌtā hai unheñ saiñkaḌoñ baar
tere kūche se jo ik baar guzar jaate haiñ
ġham ke māroñ ko bhī aatī hai kabhī ḳhud pe hañsī
kabhī sahrā meñ bhī kuchh phuul bikhar jaate haiñ
yaad rah jaate haiñ ahbāb ke kuchh lutf-o-karam
din musībat ke bahar-hāl guzar jaate haiñ
pārsā.ī na jatāo ki ye hai mai-ḳhāna
achchhe achchhe yahāñ shīshe meñ utar jaate haiñ
tum pashemāñ na hoñ tum par koī ilzām nahīñ
marne vaale kabhī be-maut bhī mar jaate haiñ
merī bigḌī huī taqdīr bane yā na bane
un ke bikhre hue gesū to sañvar jaate haiñ
dafn ho kar bhī kahīñ dabte haiñ armān hasīñ
ban ke gul sīna-e-gulshan pe ubhar jaate haiñ
jaan de dete haiñ jo baat ke hote haiñ dhanī
aur hoñge jo zabāñ de ke mukar jaate haiñ
le ke ummīd yahāñ aa.e the kyā kyā 'raunaq'
aap kī bazm se kyā le ke asar jaate haiñ
kya sitam hai ki sitam hum pe wo kar jate hain
apne sae se jo tanhai mein Dar jate hain
lauT ke aana hi paDta hai unhen sainkaDon bar
tere kuche se jo ek bar guzar jate hain
gham ke maron ko bhi aati hai kabhi KHud pe hansi
kabhi sahra mein bhi kuchh phul bikhar jate hain
yaad rah jate hain ahbab ke kuchh lutf-o-karam
din musibat ke bahar-haal guzar jate hain
parsai na jatao ki ye hai mai-KHana
achchhe achchhe yahan shishe mein utar jate hain
tum pasheman na hon tum par koi ilzam nahin
marne wale kabhi be-maut bhi mar jate hain
meri bigDi hui taqdir bane ya na bane
un ke bikhre hue gesu to sanwar jate hain
dafn ho kar bhi kahin dabte hain arman hasin
ban ke gul sina-e-gulshan pe ubhar jate hain
jaan de dete hain jo baat ke hote hain dhani
aur honge jo zaban de ke mukar jate hain
le ke ummid yahan aae the kya kya 'raunaq'
aap ki bazm se kya le ke asar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.