kya tera kya mera KHwab
kyā terā kyā merā ḳhvāb
jis kī qismat is kā ḳhvāb
baabā āñkheñ ne.amat haiñ
mat dekhā kar baabā ḳhvāb
saare saroñ par dastāreñ
ḳhvāb aur dīvāne kā ḳhvāb
maiñ ne ujrat māñgī thī
us ne haath pe rakkhā ḳhvāb
baañT aate haiñ bachchoñ meñ
roz ik jhūTā sachchā ḳhvāb
shab bhar aañkh meñ bhīgā thā
puure din meñ sūkhā ḳhvāb
ik saf meñ mahmūd aur maiñ
ye auqāt aur aisā ḳhvāb
ham us shahr ke log jahāñ
taaza havā kā jhoñkā ḳhvāb
aksar pakḌe jaate haiñ
pahlā jurm aur pahlā ḳhvāb
kya tera kya mera KHwab
jis ki qismat is ka KHwab
baba aankhen neamat hain
mat dekha kar baba KHwab
sare saron par dastaren
KHwab aur diwane ka KHwab
main ne ujrat mangi thi
us ne hath pe rakkha KHwab
banT aate hain bachchon mein
roz ek jhuTa sachcha KHwab
shab bhar aankh mein bhiga tha
pure din mein sukha KHwab
ek saf mein mahmud aur main
ye auqat aur aisa KHwab
hum us shahr ke log jahan
taza hawa ka jhonka KHwab
aksar pakDe jate hain
pahla jurm aur pahla KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.