kya tumne kabhi zindagi karte hue dekha
kyā tum ne kabhī zindagī karte hue dekhā
maiñ ne to ise bār-hā marte hue dekhā
paanī thā magar apne hī dariyā se judā thā
chaḌhte hue dekhā na utarte hue dekhā
tum ne to faqat us kī rivāyat hī sunī hai
ham ne vo zamāna bhī guzarte hue dekhā
yaad us ke vo gulnār sarāpe nahīñ aate
is zaḳhm se us zaḳhm ko bharte hue dekhā
ik dhund ki rānoñ meñ pighaltī huī paa.ī
ik ḳhvāb ki zarre meñ utarte hue dekhā
bārīk sī ik daraz thī aur us se guzar thā
phir dekhne vāloñ ne guzarte hue dekhā
kya tum ne kabhi zindagi karte hue dekha
main ne to ise bar-ha marte hue dekha
pani tha magar apne hi dariya se juda tha
chaDhte hue dekha na utarte hue dekha
tum ne to faqat us ki riwayat hi suni hai
hum ne wo zamana bhi guzarte hue dekha
yaad us ke wo gulnar sarape nahin aate
is zaKHm se us zaKHm ko bharte hue dekha
ek dhund ki ranon mein pighalti hui pai
ek KHwab ki zarre mein utarte hue dekha
barik si ek daraz thi aur us se guzar tha
phir dekhne walon ne guzarte hue dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.