Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya yahan dekhiye kya wahan dekhiye

Abdul Mannan Tarzi

kya yahan dekhiye kya wahan dekhiye

Abdul Mannan Tarzi

kyā yahāñ dekhiye kyā vahāñ dekhiye

aap aap haiñ ab jahāñ dekhiye

ghar jalā dekhiye vo dhuāñ dekhiye

aag pahuñchī kahāñ se kahāñ dekhiye

dekhiye tā-kamar zulf sho.abada

uljhaneñ ban ga.iiñ dāstāñ dekhiye

mujh ko mā'lūm hai aap mā'sūm haiñ

jal gayā hogā yuuñ makāñ dekhiye

bujh ga.ī sham.a parvāne ruḳhsat hue

luT gayā shauq kārvāñ dekhiye

'ishq roz-e-azal se matā-e-yaqīñ

husn hai aaj bhī bad-gumāñ dekhiye

aa.iye mere dil meñ bhī vaqt-e-ġhazal

ek dariyā-e-ātish ravāñ dekhiye

husn ehtiyāt-e-hasīñ dekh kar

'ishq iltihāb-garāñ dekhiye

is tamāshe jab aap ko shauq hai

ham jalāte haiñ apnā makāñ dekhiye

ismat-e-dil hai aur ġham ātish-kada

aag ban jā.egī gulsitāñ dekhiye

ishtiyāq-e-jabīñ apnā dekheñge ham

aap vīrānī-e-āstāñ dekhiye

aap ke sāmne aur tāb-e-suḳhan

ḳhush-bayāñ kitne haiñ be-zabāñ dekhiye

tuur tarah jal na jaa.e kahīñ

jalva-bārī se pahle makāñ dekhiye

ramz-o-īmā ġhazal agar jaan haiñ

aap 'tarzī' husn-e-bayāñ dekhiye

kya yahan dekhiye kya wahan dekhiye

aap hi aap hain ab jahan dekhiye

ghar jala dekhiye wo dhuan dekhiye

aag pahunchi kahan se kahan dekhiye

dekhiye ta-kamar zulf ka shoabada

uljhanen ban gain dastan dekhiye

mujh ko ma'lum hai aap ma'sum hain

jal gaya hoga yun hi makan dekhiye

bujh gai shama parwane ruKHsat hue

luT gaya shauq ka karwan dekhiye

'ishq roz-e-azal se mata-e-yaqin

husn hai aaj bhi bad-guman dekhiye

aaiye mere dil mein bhi waqt-e-ghazal

ek dariya-e-atish rawan dekhiye

husn ki ehtiyat-e-hasin dekh kar

'ishq ka iltihab-garan dekhiye

is tamashe ka jab aap ko shauq hai

hum jalate hain apna makan dekhiye

ismat-e-dil hai aur gham ka aatish-kada

aag ban jaegi gulsitan dekhiye

ishtiyaq-e-jabin apna dekhenge hum

aap virani-e-astan dekhiye

aap ke samne aur tab-e-suKHan

KHush-bayan kitne hain be-zaban dekhiye

tur hi ki tarah jal na jae kahin

jalwa-bari se pahle makan dekhiye

ramz-o-ima ghazal ki agar jaan hain

aap 'tarzi' ka husn-e-bayan dekhiye

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now