kya yahi us ka mudawa na hua
kyā yahī us kā mudāvā na huā
ek bīmār jo achchhā na huā
chaar tinke hī sahī jal to ga.e
kyā mire dam se ujālā na huā
un kī qurbat hī sahī hāsil-e-zīst
ye to andāz-e-tamannā na huā
hai tamannā-e-tulū-e-ḳhurshīd
aur agar phir bhī saverā na huā
pursish-e-ġham to huī thī lekin
ham se iz.hār-e-tamannā na huā
lazzat-e-dard-e-mohabbat ke sabab
ham ko marnā bhī gavārā na huā
ġham ne vo bazm sajā.ī 'ehsās'
maiñ zarā der ko tanhā na huā
kya yahi us ka mudawa na hua
ek bimar jo achchha na hua
chaar tinke hi sahi jal to gae
kya mere dam se ujala na hua
un ki qurbat hi sahi hasil-e-zist
ye to andaz-e-tamanna na hua
hai tamanna-e-tulu-e-KHurshid
aur agar phir bhi sawera na hua
pursish-e-gham to hui thi lekin
hum se izhaar-e-tamanna na hua
lazzat-e-dard-e-mohabbat ke sabab
hum ko marna bhi gawara na hua
gham ne wo bazm sajai 'ehsas'
main zara der ko tanha na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.