kyā ye but baiTheñge ḳhudā ban kar
allāh allāh ai barahman kar
hogā barbād misl-e-kāġhaz baad
sar ko khīñchā falak pe gar tan kar
ḳhanjar-o-teġh kar gale pe ravāñ
pher kar aañkh kaj na chitvan kar
ai tirī shaan ho gayā insāñ
ek musht-e-ġhubār ban-Than kar
paak dāman hai mariyam-e-sānī
chashm-e-tar tifl-e-ashk ko jan kar
dil ke Dasne meñ hai ye kaalā naag
zulf-e-pechāñ se bil na nāgan kar
tū agar haDDiyoñ kā maalā hai
ism-e-āzam kī dard sumran kar
hai ye chhalnī mazār-e-'shād'-e-ġharīb
dhuup aatī hai laash par chhan kar
kya ye but baiThenge KHuda ban kar
allah allah ai barahman kar
hoga barbaad misl-e-kaghaz baad
sar ko khincha falak pe gar tan kar
KHanjar-o-tegh kar gale pe rawan
pher kar aankh kaj na chitwan kar
ai teri shan ho gaya insan
ek musht-e-ghubar ban-Than kar
pak daman hai mariyam-e-sani
chashm-e-tar tifl-e-ashk ko jan kar
dil ke Dasne mein hai ye kala nag
zulf-e-pechan se bil na nagan kar
tu agar haDDiyon ka mala hai
ism-e-azam ki dard sumran kar
hai ye chhalni mazar-e-'shad'-e-gharib
dhup aati hai lash par chhan kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.