kya ye maqtul ki aulad ki tauhin nahin
kyā ye maqtūl kī aulād kī tauhīn nahīñ
ek bhī shaḳhs bhare shahr meñ ġhamgīn nahīñ
dostī vaj.h-e-aziyyat bhī huā kartī hai
jaise maiñ tere liye bā.is-e-taskīn nahīñ
maiñ ne din-rāt ko har rang meñ Dhalte dekhā
koī ruḳh vaqt kī tasvīr kā rangīn nahīñ
ajnabī soch ke aanā mirī miTTī kī taraf
kurra-e-arz kā har mulk filistīn nahīñ
roz lagte haiñ bhale mujh ko hazāroñ chehre
dil kī taklīf kā baa.is koī do tiin nahīñ
kuchh taġhayyur meñ agar hai to dikhā āñkhoñ ko
zindagī maiñ tire din-rāt kā shauqīn nahīñ
kya ye maqtul ki aulad ki tauhin nahin
ek bhi shaKHs bhare shahr mein ghamgin nahin
dosti wajh-e-aziyyat bhi hua karti hai
jaise main tere liye bais-e-taskin nahin
main ne din-raat ko har rang mein Dhalte dekha
koi ruKH waqt ki taswir ka rangin nahin
ajnabi soch ke aana meri miTTi ki taraf
kurra-e-arz ka har mulk filistin nahin
roz lagte hain bhale mujh ko hazaron chehre
dil ki taklif ka bais koi do tin nahin
kuchh taghayyur mein agar hai to dikha aankhon ko
zindagi main tere din-raat ka shauqin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.