kya zarurat be-zarurat dekhna
kyā zarūrat be-zarūrat dekhnā
tum na ā.īne kī sūrat dekhnā
phir ga.iiñ bīmār-e-ġham ko dekh kar
apnī āñkhoñ kī muravvat dekhnā
ham kahāñ ai dil kahāñ dīdār-e-yār
ho gayā terī badaulat dekhnā
hai vo jab dil meñ to kaisī justujū
DhūñDne vāloñ kī ġhaflat dekhnā
sāmne tārīf pīchhe gāliyāñ
un kī muñh dekhī mohabbat dekhnā
jin ko baaqī hī na ho ummīd kuchh
aise māyūsoñ kī hasrat dekhnā
mirā ḳhat ye kah ke ġhairoñ ko diyā
ik zarā is kī ibārat dekhnā
aur kuchh tum ko na aa.egā nazar
dil meñ rah kar dil kī hasrat dekhnā
sub.h uTh kar dekhnā 'ahsan' kā muñh
aise vaisoñ kī na sūrat dekhnā
kya zarurat be-zarurat dekhna
tum na aaine ki surat dekhna
phir gain bimar-e-gham ko dekh kar
apni aankhon ki murawwat dekhna
hum kahan ai dil kahan didar-e-yar
ho gaya teri badaulat dekhna
hai wo jab dil mein to kaisi justuju
DhunDne walon ki ghaflat dekhna
samne tarif pichhe galiyan
un ki munh dekhi mohabbat dekhna
jin ko baqi hi na ho ummid kuchh
aise mayuson ki hasrat dekhna
mera KHat ye kah ke ghairon ko diya
ek zara is ki ibarat dekhna
aur kuchh tum ko na aaega nazar
dil mein rah kar dil ki hasrat dekhna
subh uTh kar dekhna 'ahsan' ka munh
aise waison ki na surat dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.