kya zaruri hai ki bas shor-o-shaghab mein raha jae
kyā zarūrī hai ki bas shor-o-shaġhab meñ rahā jaa.e
bhiiḌ ke saath chaleñ aur aqab meñ rahā jaa.e
mujh meñ dariyā mirā kyoñ josh pe ab aatā nahīñ
kab talak sabr se girdāb-e-adab meñ rahā jaa.e
koī tadbīr ki ye dasht bhī ho bāġh-e-jināñ
kuchh to is ḳhaak ke bhī ḳhair talab meñ rahā jaa.e
koī ġhauġhā hī uThā chāhiye vīrāna-e-shab
habs ye TuuTe kuchh is fikr-e-naqab meñ rahā jaa.e
ik zarā apne kueñ se kabhī bāhar ko ji.eñ
ik zarā auroñ ke bhī dard-o-ta.ab meñ rahā jaa.e
sochtā huuñ nayā ābād karūñ qarya-e-ishq
aur phir shaan se is shahar-e-ajab meñ rahā jaa.e
qarz miTTī kā kabhī yuuñ adā kar jaa.eñ 'shamīm'
giit ban kar ke har ik ġhuncha-e-lab meñ rahā jaa.e
kya zaruri hai ki bas shor-o-shaghab mein raha jae
bhiD ke sath chalen aur aqab mein raha jae
mujh mein dariya mera kyon josh pe ab aata nahin
kab talak sabr se girdab-e-adab mein raha jae
koi tadbir ki ye dasht bhi ho bagh-e-jinan
kuchh to is KHak ke bhi KHair talab mein raha jae
koi ghaugha hi uTha chahiye virana-e-shab
habs ye TuTe kuchh is fikr-e-naqab mein raha jae
ek zara apne kuen se kabhi bahar ko jien
ek zara auron ke bhi dard-o-tab mein raha jae
sochta hun naya aabaad karun qarya-e-ishq
aur phir shan se is shahar-e-ajab mein raha jae
qarz miTTi ka kabhi yun ada kar jaen 'shamim'
git ban kar ke har ek ghuncha-e-lab mein raha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.