kya zaruri hai shaeri ki jae
kyā zarūrī hai shā.erī kī jaa.e
dil jalā kar hī raushnī kī jaa.e
ba.az chehre bahut hasīn sahī
phir bhī kitnoñ se dostī kī jaa.e
ik musalsal shikast kā ehsās
aisī ḳhvāhish na phir kabhī kī jaa.e
ye mohabbat ke jo taqāze haiñ
in taqāzoñ meñ kuchh kamī kī jaa.e
ab bhī kuchh log ye samajhte haiñ
zahr pī kar hī ḳhud-kushī kī jaa.e
maiñ ne ye faisla kiyā hai 'nashāt'
faisloñ meñ bhī ab kamī kī jaa.e
kya zaruri hai shaeri ki jae
dil jala kar hi raushni ki jae
baz chehre bahut hasin sahi
phir bhi kitnon se dosti ki jae
ek musalsal shikast ka ehsas
aisi KHwahish na phir kabhi ki jae
ye mohabbat ke jo taqaze hain
in taqazon mein kuchh kami ki jae
ab bhi kuchh log ye samajhte hain
zahr pi kar hi KHud-kushi ki jae
main ne ye faisla kiya hai 'nashat'
faislon mein bhi ab kami ki jae
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 40)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.