kyon azal se ku-e-mehr-o-mah mein baiThe the hum
kyoñ azal se kū-e-mehr-o-māh meñ baiThe the ham
tujh se milnā thā so terī raah meñ baiThe the ham
pur-tashaddud the manāzir sāmne scrēn par
band āñkhoñ se tamāshā-gāh meñ baiThe the ham
kaun ham ko jāntā thā us jagah phir bhī magar
sab se pīchhe chhup ke bazm-e-shāh meñ baiThe the ham
chāñdnī kā taḳht thā aur raushnī kā taaj thā
raat ke shāhī jamāl-o-jāh meñ baiThe the ham
chaudhvīñ kī raat meñ dariyā kināre der tak
kis ko hai mālūm kis kī chaah meñ baiThe the ham
āsmāñ se aag kī barsāt se chhupte hue
ek din jā kar zamīñ kī thaah meñ baiThe the ham
jañg ke maidān se phir jañg ke maidān tak
zindagī terī hī ik jañgāh meñ baiThe the ham
kyon azal se ku-e-mehr-o-mah mein baiThe the hum
tujh se milna tha so teri rah mein baiThe the hum
pur-tashaddud the manazir samne screen par
band aankhon se tamasha-gah mein baiThe the hum
kaun hum ko jaanta tha us jagah phir bhi magar
sab se pichhe chhup ke bazm-e-shah mein baiThe the hum
chandni ka taKHt tha aur raushni ka taj tha
raat ke shahi jamal-o-jah mein baiThe the hum
chaudhwin ki raat mein dariya kinare der tak
kis ko hai malum kis ki chah mein baiThe the hum
aasman se aag ki barsat se chhupte hue
ek din ja kar zamin ki thah mein baiThe the hum
jang ke maidan se phir jang ke maidan tak
zindagi teri hi ek jangah mein baiThe the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.